Friday 25 March 2011

Dukh me mat gabranna panchi

Dukh me mat gabranna panchi
Ye jag dukh ka mela hai
Chahe beed bahuth ambar par
Udana tuje akela hai

Nanhe komal pank hai tere
Aur gagan ki ye doori
Baita gaya to hogi man ki
Kaise abhilasha poori
Uska Naam amar hai jag me
Jisne sankat jela re
Chahe beed bahuth ambar par
Uduna tuje akela hai

Dukh me mat gabranna panchi
Ye jag dukh ka mela hai
Chahe beed bahuth ambar par
Udana tuje akela hai

Chatur shikari ne rakha hai
Jaal bichakar pag pag par
Phas mat jana bhol se pagle
Pachtayega jeevan bar
Log me dhane ki mat padana
Bade samay kela hai
Chahe beed bahuth ambar par
Udana tuje akela hai

Jab tak sooraj Asaman par
Badatha chal tu chaltha chal
Phir jayega andakar jab
Bada katin hoga phal phal
Kisi patha ke ud chal ne
Ajatha kab bela hai
Chahe beed bahuth ambar par
Udana tuje akela hai

No comments:

Post a Comment