Friday 25 March 2011

Radhika Gori Se, Biraj ki Chori Se, Maiyya Karade Mero Byaha

Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
Ye bandhan hain pyaar kaa………
Radhika gori se! aha!
biraj ki chori se! oho!
maiyya karade mero byaha (2)               

Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
Umar teri choti hai,
Neeyat teri khoti hai,
Kaise karao tero byaha….(2)                   

Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
Jo na byah karaye, teri gayya nahi charao,
Aaj ke baad meri maiyaa, teri tehri par na aao
Aayegaaaaaaa re maja, re maja, ab jeet haar ka.      

Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
Chandan ki chauki pe, maiyya tujh ko bithao
Apni Radha se me, teri seva karva vu
Bhojan mein banvao, banvao, chhappan prakar ke  
    
Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
Choti si dulhaniya, jab angina mein dolegi
Tere saamne maiyya ghungta von a kholegi
Tao se jaa kaho, ja kaho, baithe vo dwar pe       
   
Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
Sunke baatein kanha ki, maiyya baithi muskane,
Le ke balaiyya, himde se apne lagaye
Nazar kahi na lage, na lage, ha mere lal ko.        

Radhika gori se, biraj ki chori se, maiyya karade mero byaha (2)
  

No comments:

Post a Comment